First Time On Internet
  • Peshawar City Photos and Videos
  • New Islamabad Photos
  • Old Map of Pindi Year 1925
  • Old 1968 Map of Murree
 
Coming Up Next
  • Lahore City Videos
  • Lahore City Photos
  • Islamabad City Videos
  • New Murree Videos
 
Pindiplus! Turns 4
Its a great pleasure to tell all of you that pindiplus has turned 4 ,this 6th October, 2007. It has been a humble effort from me and a great support from all those who have been with me through thick and thin. Thank you.
 
Shaam k baad PDF Print E-mail
Aankh ban jati hay sawan ki ghata shaam k baad
loot jata hay agar koi khafa shaam k baad
woh jo tal jati rahi saar se bala shaam k baad
Koi to tha k jo deta tha Dua shaam k baad

Aahein bharti hay shaab-e-hijer yateemoon ki tarah
sard ho jati hay har rooz hawa shaam k baad
shaam tak kaid raha karte hain dil kay andar
Dard ho jatey hain saray Reha shaam k baad

loog thak har k soo jate hain lakin JanaaN
Hum ne khush ho k tera Dard saha shaam k baad
shaam se phelay talak laakh sulaye rakhain
Jaag uth,ti hay mohabat ki Anaa shaam k baad

Khawab takra k palat jatay hain baand ankhoon se
jane kis jurm ki kis ko sazza hay shaam k baad
chaand jaab roo k sitaroon se galay milta hay
ik ajaab rang ki hoti hay Fizaa shaam k baad

HUM ne TNHAI se poocha k milo gi kab tak
US ne Bay-cheni se Foran kaha ,shaam k baad
main agar khush bhi rahoon phir bhi mere sinay main
So-gawari koi rooti hay sadaa shaam k baad

TUM gay ho too Seeha(black) raang k kapray pehnay
phirti reehti hay mere ghar main kazza shaam k baad
Din ajab mothi main jakray hoye rehta hay mujhay
mujhay is baat ka ahsaas hoa shaam k baad

koi bhoola hoa ghaam hay jo mujh ko
Dil k paataal se deta hay sadda shaam k baad
MAAR deta hay ujaar jane ka Doh,ra Azaab
kaash ho koi kisi se NAA JUDA shaam k baad
 




Search Directory

Directory Stats

There are 216 listing and 44 categories in our website

Search Text/Articles/News