|
First Time On Internet
|
Coming Up Next
|
|
Pindiplus! Turns 4 Its a great pleasure to tell all of you that pindiplus has turned 4 ,this 6th October, 2007. It has been a humble effort from me and a great support from all those who have been with me through thick and thin. Thank you. |
| MSN ki baatain |
|
|
|
|
MSN ki woh mulakatain woh payar bhari batain woh login honey ka intazar woh intazar ki saateyin kaho kiya bhool jao gey???? woh farzi naam ka batanav haha likh lar jhoota kehka lagana woh ASL poochney par apni umer aur kam batana kaho kiya bhool jao gey???? woh payar bhari tehreerain woh MSN ki emotion tasweerain woh nick main haale dil likhna woh net ko fast karney ki tadbeerain kaho kiya bhool jao gey??? woh typing sey ungalion main dard hona kisi baat par gussey sey chahrey ka zard hona woh lafz sorry ka screen par atey hi lehjey ka phir sey sard hona kaho kiya bhool jao gey????? woh jagna raatoun main woh chalkana payar batoun main woh type kartey katey lena mouse ko haathoun main kaho kiya bhool jao gey???? woh msn par dosroun ko ignore karna har jumley par bohat goor karna woh dil par haath rakh kar bye kehna aur zara rokney par zoor karna kaho kiya bhool jao gey???? tumharey login hotey hi dostoun ka woh jhamgata lag jana tum sey baat karney ki khatir sar dard ka jhoota bahana kaho kiya bhool jao gey?????? bey waja ki batoun par takrar karna bar bar netmeeting par israr karna woh roman urdu ki gayi batain payar ka dabey lafzoun main woh izhar karna kaho kiya bhool jao gey??? woh dostoun ka tumhara ID chopana kabhi font badlna kabi ghunganana deer sey jawab aney par bz honey ka alzaam lagana par lagta hai keh tum bhool gaye ...... MSN keh anchal par likhi howi kahani par muj ko yaad hai har ik lafaz zabani khudara na tum aisa sitam karo na karo aisi nadani. |